Saturday, August 11, 2007

How would some common english sayings translate in hindi???

How would some common english sayings translate in hindi???

Have a nice day!
----- * Achcha din lo!

What's up?
----- *Uppar kya hai?

You're kidding!
----- *Tum bachcha bana rahe ho!

Don't kid me!
----- * Mera bachcha mat banaao!

Yo, baby! What's up?
-----* Beti Yo, uppar kya hai?

Cool man!
-----* Thandaa aadmi!

Check this out, man!
----* Iskee chaanbeen karo, aadmi!

Don't mess with me, dude.
----- * Mere saath gandagi mat karo, e vyakti.

She's so fine!
----- * Woh itnee baareek hai!

Listen buddy, that chick's mine, okay!?
----- * Suno dost, woh chooza mera hai, theek?

Friday, August 3, 2007

KEY TO MY HEART



*****************************

I had closed the door upon my heart,
And wouldn't let anyone in.
I trusted and loved, Only to be hurt,
But that would never happen again.



I locked my heart and threw the key
As far as I could.
Love would never enter there again,
My heart was closed for good.



Then you came into my life,
And made me change my mind.
Just when I thought that tiny key,
Would be impossible to find.



That is when you held out your hand,
And proved to me I was wrong.
Inside your palm was the key to my heart,
You had it all along.


Cool One Liners





| Cool One Liners |
Click here to joint the group



If you're too lazy to start anything, you may get a reputation for patience.


.......

I'm on a seafood diet. Every time I see food, I eat it.


.......

I talk to myself because I like dealing with a better class of people.


.......



Never try to drown your troubles... Especially if he can swim.


.......

Smile, it makes people wonder what you're thinking.


.......

Don't be so open-minded your brains fall out.


.......

A bus station is where a bus stops. A train station is where a train stops. On my desk I have a work station.


.......

By the time a man realizes that his father was usually right, he has a son who thinks he's usually wrong.


.......

Teachers are those who help us in resolving problems which, without them, we wouldn't have.


.......

There are two theories to arguing with women. Neither one works.


.......

Marriages are made in heaven. But so again, are thunder and lightning.


.......

There are three sides to every argument: your side,my side and the right side.


.......

An expert is someone who takes a subject you understand and makes it sound confusing.


.......

When you're right, no one remembers. When you're wrong, no one forgets.


.......

Always remember that you are absolutely unique. Just like everyone else.


.......

They say hard work never killed anyone, but why take the chance.




Fayda

RoSee Dynamic to HTML Converter

Bhoolne Waale Se Koyi Keh De Zara,
Is Tarah Yaad Aane Se Kya Faaida .

Jab Mere Dil Ki Duniya Basaati Nahin,
Phir Khayaalon Mein Aane Se Kya Faaida.



Kya Kahoon Aapse Kitni Umeeden Thi,
Aap Kya Badle Duniya Badal Is Gayi.

Aasra De Ke Dil Tod Te Hain Mera,
Is Tarah Sataane Se Kya Faaida.



Chaar Tinke Jala Ke Kya Mil Gaya,
Mit Sakana Zamane Se Mera Nishaan.

Mujhpe Bijli Girao To Jaanu Sahi,
Aashiaan Par Girane Se Kya Faaida

When I Asked God

When I Asked God for Strength

He Gave Me Difficult Situations to Face


When I Asked God for Brain & Brown

He Gave Me Puzzles in Life to Solve




When I Asked God for Happiness

He Showed Me Some Unhappy People


When I Asked God for Wealth

He Showed Me How to Work Hard


When I Asked God for Favors

He Showed Me Opportunities to Work Hard


When I Asked God for Peace

He Showed Me How to Help Others


God Gave Me Nothing I Wanted

He Gave Me Everything I Needed



- Swami Vivekananda



Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai

Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai



Usne kaha kon Tumhein hai boht Aziz

Mai NE kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai






Usne kaha konsa Tohfa hai pasand?

Mai NE kaha Wo Shaama Jo AB tak Udhaar hai



Usane kaha sath kahan tak Nibhao GE?

Mai NE kaha jitni ye Saanson ki Taar hai



Usne kaha Mujh ko Yaqeen aaye kis tarah?

Mai NE kaha Mera Naam hi Aitbaar hai

Some humorus sign ads

Some humorus sign ads

Advertisement In A Long Island Shop: Guitar, for sale....... Cheap...........no strings attached .


Ad.. In Hospital Waiting Room: Smoking Helps You Lose Weight ... One Lung At A Time!


Seen on a bulletin board: Success Is Relative. More The Success, More The Relatives.




When I Read About The Evils Of Drinking...I Gave Up Reading.


My Grandfather Is Eighty And Still Doesn't Need Glasses... He Drinks Straight Out Of The Bottle.


You Know Your kids Have Grown Up When: Your Daughter Begins To Put On Lipstick.. Or Your Son Starts To Wipe It Off .


Sign In A Bar: "Those Of You Who Are Drinking To Forget, Please Pay In Advance."


Sign In Driving School: If Your Wife Wants To Learn To Drive, Don't Stand In Her Way.


Behind Every Great Man, There Is A Surprised Woman.


The Reason Men Lie Is Because Women Ask So Many Questions.


Getting Caught Is The Mother Of Invention.


Laugh And The World Laughs With You, Snore And You sleep Alone.


The Surest Sign That Intelligent Life Exists Elsewhere In The Universe Is The Fact That It Has Never Tried To Contact Us.


Sign At A Barber's Saloon In Detroit: We Need Your Heads To Run Our Business.


A Traffic Slogan: Don't Let Your Kids Drive If They are Not Old Enough Or Else They Will Never Be.


Sign In A Restaurant: All Drinking Water In This Establishment Has Been Personally Passed By The Manager.


Sign On A Famous Beauty Parlor Window: Don't Whistle At The Girls Going Out From Here. She May Be Your Grandmother !


Poems written by husband to wife

Poems written by husband to wife


I wrote your name on sand it got washed.

I wrote your name in air, it was blown away. Then

I wrote your name on my heart & I got Heart Attack.



******

God saw me hungry, he created pizza .

He saw me thirsty, he created Pepsi .

He saw me in dark, he created light .

He saw me without problems, he created YOU.

Zeus Internet Marketing Robot

******

Twinkle Twinkle little star

You should know what you are

And once you know what you are

Mental hospital is not so far.



******

The rain makes all things beautiful.

The grass and flowers too.

If rain makes all things beautiful

Why doesn't it rain on you?



******

Roses are red, Violets are blue

Monkeys like u should be kept in zoo.

Don't feel so angry you will find me there too

Not in cage but laughing at you.

Wednesday, August 1, 2007

Funny Shayri's

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Pyar to hamko bhi karna tha,
lekin baat khas hui nahi,
tajmahal to hamko bhi banwana tha,
lekin afsoss ki loan pass hui nahiĆ¢€¦..!!!

Chhup gaya badli mein jaake,
chaand bhi sharma gaya
Chhup gaya badli mein jaake,
chaand bhi sharma gaya
Bhoot ne jab tumko dekha,
bhoot bhi ghabra gaya !!!

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye

Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !





Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

Tum pucho aur hum na bata ye aise to halat nahi,
Bas jara sa dil tuta hai aur koi bat nahi.

Tum aa gaye ho ; Noor aa gaya hai
Chalo teeno picture challeĆ¢€¦..

Dekha tujhe to rooh khush ho gayi,
Ek kami thi vo bhi puri ho gayi,
Pagal hain vo log jo kehte hain ki,
Chimpanzi ki aakhri nasal kahin kho gayi!!

Mere Dil, Jiger, Kidney, Liver ho tum
waqt-bewaqt aaye vo fever ho tum
Doob kar jisme marr jaoo vo River ho tum
Mere jeevan mein ab to forever ho tumĆ¢€¦

Ladka bola :
kash in hasinao ke baap mar jate,
kash in hasinao ke baap mar jate,
bahana gham ka hota, hum inke ghar to aate.
Ladki boli:
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
Bewkoof, Yeh bolana bhi paap hoga,
kisi din tu bhi kisi hasina ka baap hoga.

Voh Sadak Ke Us Paar Thi Hum Sadak Ke Is Paar The
Kuch Hum Aage Badhe, Kuch Voh Aage Badhi
Hum Kuch Aur Aage Badhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Badhi
Hum Aur Bhi Aage Badhe, Voh Bhi Aur Aage Badhi
Ab Hum Sadak Ke Us Paar Hein, Aur Voh Sadak Ke Is Paar Hein.

Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi josh ke sath!
Humne bhi pyar kiya tha jindgi main, badi shor ke sath!
Aab hum pyar karenge badi soch ke sath !
Kyon ki usey kal shamko dekha kisi aur ke sath !

Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Dharti se aasmaa tak, aasmaa se dharti tak
Hawa hi hawa hai.

Tere duvar par sanam hazaar baar aayenge,
tere dvar par sanam hazaar baar aayenge,
ganti bajayenge aur bhaag jayenge.,

Har samundar me sahil nahi hota,
her zahaz me misal nahi hote,
agar dhirubhai ka sapna nahi hota to,
her lukkhe ke paas mobile nahi hota.

Log kehte hai pyar mein neend nahi aati
are koi hamse bhi pyar kar lo hame neend bahut aati hai

Zakhm kuch aaise huai phulo per soya n gaya,
Jisma jalkar khak aakho se raya n gaya.

Aab es hadd pe laya hai intazaar muzhe,
Woh aa bhi jaye to aaye na yaki muzhe.

"A" ki Biwi "B",
"B" ki Bhabhi "C",
"C" ki beti "V",
"V" ka dada "G"
"G" ki biwi "K",
"K" ki beti "T",
To batao 'A" or "T" ka kya rishta hua?
Reply only in 2 Minutes...

kya meri nak tedi hai. ankhen mendki jesi hai. surat se besharm lagta hoon,
pagal hoon akal nahi mujhe... phir kise ne aisa kiyo kaha
meri surat tumse milte hai.............?

aansu mein naa dhundhna hame,hum tumhe aankhon mein mil jaayenge,
tamanna ho agar milne ki to band aankhon se bhi nazar aaenge.

Arz kiya hai:
Bahaar aane se pehle fiza aa gayi,
ki bahaar aane se pehle fize aa gayi,
Aur phool khilne se pehle.....
.... bakri kha gayi

Kaash ham SMS hote, Ek Klik mein tumhare paas hote, Bhale tum Hame delete kar dete,
par kuch pal ke liye ham tumhare ehsas to hote...!

Aaj raat theek 12 baje ke baad---------------------1 baje ga

pahli hi raat start ho gai barbadi...
macher becharay ki kismat hi khoti thi..
makhi MOSPEL laga kay soti thi...

Aap agar PAGAL ho to SMS padte hi miss call kijiyega,MAHA PAGAL ho to SMS kijiyega,
BEVKUF ho to call kijiyega....Aur agar teeno ho to chup rahiyega...

Kuch log thodi der karte hain....
Kuch log 2-3 dafa karte hain,
aur kuch saari raat karte rahate hain,
tab jaakar hota hai....
unka...
Mobile Charge...!

julm karo ya sitm karo hum gilla nahin karte.
magar hum jaisa log dubara milla nahin karte.
mila do khak mein hum ko magar itna khayal karna.
hum jaisa log dubara milla nahin karte.

Duniya mein bahut gham mileinge
Sach mano achhe dost kam mileinge
Jis mod par sab chhod jayenge saath tumhara
usi mod par khadey ham milenge..

Khush to bahot hoge tum,Ki forward karne ke liye SMS mil gaya,
Magar aab kya karoge...?Jab msg me kuch bhi nahi mila...?Ha ha ha ha

Dosti kro college wali se,
Ishq larao office wali se,
Flirt kro pros wali se,
Pyar kro dilwali se,
ankh larao sali se,
aur maar khao ger wali se.

5 great people: 1.GAndhiji, woh to ab rahe nahi
2.Wasim Akram, woh kisi kaam ka nahi,
3.Aishwarya Rai,apni pohanch say bahir.
Baqi rahe aap aur hum So keep in Touch.

Wife- i will die. Husband- i will also die.
Wife- Why do you want 2 die?
hosband- bcoz ma itni khushi bardasht nahi kar sakta:!

A Sardar went 2 hotel, ordered chiken,
Waiter comes with the order, Surdar:Murgi di taang kithe hai?
Waiter:Woh langra tha. Surdar: Dil? Waiter:Dil murgi le gayee.
Surdar: Dimaag? Waiter: Murga SARDAR tha!!!

Message pe message bhejte ho, bhej bhej ke bheja kharab karte ho,
bhejte ho toh bhi kya bhejte ho,
khud ka bheja to chalta nahi dosron ka bheja hua bhejte ho!!

Log apna banake chod dete hai.
Rishta gairo se jod lete hai..
Hum to ek phool bhi na tod sake.
Log to dil bhi tod dete hai

Aey chaand, tu bhi kiya ghazab dhaata hai,
Bachpan main "mama" aur jawaani main "yaar" nazar aata hai

Kabhi hosla bhi azmaa lena chahiye, Bure waqt main muskura lena chahiye,
Jab saat din main bhi khujali na mite,to 8ve din naha lana chahiye.

Two snakes sitting in the jungle,
Female snake tried to kiss the male snake,
Suddenly male snake turned and started singing 'zehar hai ki pyar hai tera chumma'!

Dil k dard ko zuba per laate nahi,
Hum apni aankhon se ansu bahate nahi,
Zakham chahe kitna hi gahre kyo na ho, hmm DETTOL k siva kuch laagate nahi!

Bhehar ki gali main paan ki dukan,
Devdas ne dekhi Paro Ki muskan,
Devdas ne khilaya paro ko paan, Khake paan Paro bolo"Shukriya Bhai Jan"

Tum Haste Raho, O Haste Raho, O Haste Raho, O Haste Raho, Muskarate Raho,
Sada Khilkhilate Raho, Khush Raho, Mera Kya Hain, Log Tumhe hi! Paagal Kahenge! Ha Ha Ha!

Haseeno ne haseen banke gunah Kiya,
auronko to theek, humko bhi tabah kiya
pesh kiya gazhlon mein jab unki bewafaiee ko,
auron ne to theek unhone bhi WAH WAH kiya

Tufano me kashti ko kinaray bhi miltay hain, jahan ma logon k saharay bhi miltay hain ,
duniya me sub se payari ha zindgi khuch log zindgi se bi payarey miltay ha.

Tu jiye hajaro saal, Saal ke din hon 10,000 saal.

Ehsaas Bohat Hoga Jab Chor Ke Jaingay
Roengay Bohat Magar Aansu Nahi Aaengay
Jab Saat Na De Koi To Awaz Hamain Dena
Aasman Per Bhi Hongay To Lout Ke Aaengay

zindagi main sada muskurate raho fasile kam karo dil milate raho.
dard kaisa bhi ho koi gham na karo.
rat kali sahi ankh nam na karo.ik sitara bno jagmagate raho.

Boy to a pretty girl, ajaa dil main aja, Girl: sandel utarun kya?
Boy, nahi, wese hi aja, yai masjid yan mundir nahin hai.

meri kisi khata pe naraj na hona.
apni pyari c muskan kabi na khona.
sukoon milta hai sunn kar apki hansi ko,
haste rehna zindgi me kbi udaas na hona.......

Woman: Sir , mein apne ladke ka naam kya rakhoon?
Ajit: Iskaa naam Peter rakh do!
Woman: Mera doosra ladkaa bhi hai , jo iskaa twin hai. Mein uskaa naam kya rakhoon?
Ajit: Uskaa naam Repeter rakh do!

Jab Jab hume pyaas lagti hai, Unke aane ki aas lagti hai
unki dewangi mein hum ho gaye itne dewane, Ki har ladki ki maa apni saas lagti hai

jawani ke din chamkile ho gaye, aur husn ke tewar nukile ho gaye
hum izhaar karne me thode dhiile ho gaye, aur unke haath peele ho gaye

You r my sweet SONA, I don't want u KHONA,
I want a place in your heart's KONA, Otherwise i will start RONA,
Atleast Good Morning to kar LONA

Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bohat chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain

Aaj-kal aapke SMS aana band hai , khafa ho humse ya balance kam hai? ha ha ha ha.....

woh bewafa hai to kia howa .........
mat kaho bura us ko ................
jo howa so howa ....................
khush rakhy khuda us ko ...........

Roye woh es kadar meri LASh se lipatkar agar es baat ka pata hota to kab ke mar gaye hote

Khuda kare gum ho jae mobile tera
Mil jae muje,aur ho jae mera,
main sms ker ke tung krun logon ko, naam ae tera
Tooje jutey parein aur thunda ho kaleja mera

D se dosti, d se dushmani,d se dil , d se derd, d se diwanagi,
d se dillagi, per d se itne dur na ho jana ke,
d se dum hi nikal jae, Samjay D say Dear.

Parhay likhay hotay ager kartay kaam hakeemon ka
Bahana nabz ka hota pakrtay haath haseenoo ka

Dil jis ko dia woh delhi challi gayee, piyaar jis se kia woh itly chali gayee,
Dil ne socha khudkushii kar ke dhekain,
haath switch main dia tu bijlii challi gayee..

woh aj bhi hamey dekh ker muskratey hai
woh aj bhi hamey dekh ker muskratey hai
woh to un key bachey hi kameney hai ...
jo mujhey mamo mamo bulatey hai.......

Aap kya jano hum kitna yaad kerte hain,
Mano ya na mano her pal feryaad kerte hain,
Roz hat likhtain hain cartoon network ko,
aur aap ko play kerne ki mang kerte hain.

Zindagi ki rah main hum dono sath chalain gay....
thora tum chalna, thora main chlun ga,......phir agay chal ker rikshaw kerwa lain gay.

Zindagi ki chahat ka silsila hai, koi mil gya to koi bisher gya,
Jinhain manga tha duaon main, woh kisi aur ko bina mange mil gya.

Her sham ke bad rat ati hai, her baat ke bad tumhari yaad ati hai,,
chup reh ker bi dekh lia hum ne,Khamoshion se bi tumhari awaz ati hai.

i miss u utna jitna u miss me imiss u tabse jabse u miss me i miss u tabtak jabtak
u miss me u miss me jane kab tak but i miss u marte dam tak

Zindagi mein dukh ko delete karo,Khushiyon ko save karo.
Dushman ko hide karo,Dost ko enter karo,Phir dekho Zindagi ka Computer kabhi hang na hoga.

chand taro ka nur aap per barse ; har koi aap ke chahat ko tarse ;
aap ke jindagi main aaye iteni khushiya ki aap ek gum pane ko tarse

Halchal sa machal geya tha Dil mai,
Par tum dekhti hi ho tirchi nazar sa yah sunkar..
Attack aageya hai Dil mai!

Ikk Arsay say ye Ankhain sowi nahi...Hansi nahi.. rowi nahi..
mili nahi ....khooi nahi..ikk baat thi Dil main jo tum say kehi nahi ...
K App jaisa koi nahi..

jab t.v acha nan lage ghar wale ache nan lagain
sweet girls achi naan lagain yahan tak k mun pasand khana acha nan lagay tu ... tu kia ???
"washroom jao yaar pait main garbar hai"

BOOk Khulte hai Exam ka Sama hota hai.........
Aise Mausam Mein hi Toh Dimak Kharab hota hai.....
Dimag ki Baatien Paper pe nahi aatii.,
Yeh fasana Toh MaRK SheeT Pe BaYa HoTA HaI..........

Chand utra tha hamare angan me,
yeh sitaro ko gawara na hua,
hum bhi sitaron sekya gila kare,
jab chand hi hamra na hua

1 larka tha dewana sa Mobile le ker chalta tha
chore chore chupkey chupkey Mobile main kuch dekha karta tha
jab bhi milta tha mujh se yeh hi poocha kerta tha ke yeh ON kesey hota hai ....?

suraj howa Madham,
Chand b Chalne laga,
Main tehra raha Zamin Hilne Lage,
Sajna kya ye mera Pehla Pehla Piyar Hai???????
Nalayak,Yeh PiyarNahin,
EARTHQUAKE Hai

1 ladki thi deewani si,
doston pe woh marti thi!
Chori Chori Chupke Chupke TEXT likha karti thi,
kuch kehna tha shayed usko .........
lekin moblie bill se Darti thi.

Jab Baagon mein bahar aayegi, tab hamare SMS ki baucchar
aayegi. Tanhaiyan toh tumhari to dur ho jayengi, Par kya mera bill
bharne teri SAAS aayegi?

Barsenge........
Barsenge........
Barsenge........
Barsenge........
Kal phir barsenge
Tumhari 5 paise ki muskan ke liye
hum 50 rupe kal phir kharchenge.

Hum ne jindagi ki shuruaat s se ki. S se SURAJ S se SUBAH S se
SWAGAT S se SAAZ S se SANGIT par fir s se SAMAY ne aeisi
karvat badli ki s se hamari SHAADI ho gai. Aur fir jivan ka
arth s se SAANS, SASURAL, SALA ,SALI, SASUR aur SANKAT
ho gaya .To hum s se SAMADHI lene wale hai, is liye s se
thoda dur rahena mere yaro.

Hum woh nahi jo tum ko ghum main shor dain, hum woh nahi
jo tum se nata shor dain , hum woh hain, ke ager teri sanse
ruk jae,to tuj se apni sanse jorh dain.

U r my sweet sonu, to kya
krun Nachun,
ok !@#$%^^&*&*(()(**&^^%%$$#$#@#@@$#$%%^^&&**
(*((((*&&^%^%$$###@%^%^Ab hush ho....

girls ke college me strike thi,boys bhi unke saath ho liye,girls ne nara lagaya
hamare mange picche se awaaz aayi sindoor se bharo........

Ga saku apka nagma wo saaz kaha se lau,
suna Saku Kuch aapko, wo andaz kahase Lau,
Yu to Chaand taroki tarif karna aasan hai,,
Kar saku aapki tarif wo alfaz kahase lau...

Chandani ne Kaha ke tu pyar kar...
Shama ne kaha aankhen char kar...
Gori ko cheda to boli muskarakar..
Abhi tu nadaan hai kuch intezar kar...!

Ugta hua suraj Dua de apko. Khilta hua phool khushbu de apko,
Hum to kuch dene ke kabil nahin, Denewala hazar khushia de apko

Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,Kisi Ko Dhke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya

shamma ro ro ke keh rahie hai parwanno se keh mujhe romal la do meri nak bah rahie hai

Koi khat nahi, koi khabar nahi, aapko shayad rishte ki kadr nahi,
hum to aapko yaad karte hai har sans ke sath,
shayad aapko hamari sanson ki koi fikr nahi.

Jeena terey piyar ne dobharr(mushkil) kar diya...
humein appney hi ghar se beghar kar diya......
balance bacha hi nahi jo tujh ko call kartey....
eik sms tha woh bhi teri nazarr kar diya...

Our FRIENDSHIP is not like NIKE- just do it, not like PEPSI- yeh dil mange more,
not like WILLS- made 4 each other , But like LIC- zindagi k sath bhi , zindagi ke baad bhi!

subah ko yaad aayi to miss kiya,dopar ko yaad aayi to bahut miss kiya,
shaam ko yaad aayi to heart ne skip kiya ,aur jab jaan pe ban aayi to aap ko sms kiya.

Height of selfishnes. Arz kiya hai, woh aaye hamare kabar per diya bujha gaye,
Baki jo tail tha diya main sara sir pe laga gaye!

Abe o burai ke resgulle, Pap ki berfi ,
Bewafa ke laddu, Matlabi chuski,Badmashi ke pedhe,
Jhoot ke kalakand.. Tu bada hi sweet hai re..


Taza hawa ka jhoka aaya..
Khushbu teri sath laya...Phir mere dil me khayal aaya...Ke lagta hay ki...
Aaj bhi tu.. Nahi "NAHAYA"

DOsti gunah hai to hone na dena Dosti Khuda hai to khone na dena
karte ho dosti jab kisi se to us Dost ko kabhi rone na dena.

har dua kubul nahi hoti,
har aarzu puri nahi hoti,
jinke dil mein "aap"jaise dost rahte ho,
unke liye dhadakne bhi zaruri nahi hoti.....

Jis din se juda vo humse hue
is dil ne dharkna chor diya
hai chaand ka mooh bhi utra utra
taaro ne chamkna chor diya

Jab aap hanstay hain to lagta hai k insaan kabhi bandar thaa!
Aray aap to naaraaz hee ho gaey...
jab aap naraz hotay hain to lagta hai k insaan aaj bhee bandar hai.! ha ha ha!

Mumtaj ki kabar ko dekh ke har aashiq ko mohabbat ki misal nazar aati hai....
Hum kis-kis ke liye Tajmahal banwayein???Hume to har ladki Mumtaj nazar aati hai....

Jitne channel TV ke, utne nakhre BV ke, TV chale remote se, BV chale note se,
cheda agar TV ko tv hua kharab, jo cheda BV ko, Beghar hue JANAAB.

Log kehte hain ke ishq itna mat karo, ke hussan sar pe sawar ho jaaye,
hum kehte hai ke ishq itna karo,ke patthar dil ko bhi tumse pyaar ho jaye

Manzalain be os ki thin, Rasta be os ka tha, Ek main Akaila tha, Kafaila be os ka tha,
Saath Saath chalne ki soch be os ki thi, Phir rasta badalne ka faisla be os ka tha,
Aaj keu akaila hon, Dil yeh Sawal karta hai, Log to os k thay, KIA KHUDA BE OS KA THA????

Kabristhan ke cahaukidar ke kabar pe baite hue
kutte ki gale ke pat mein chupe hue virus ki sar ke baal ke andar ki bacteria ki kasam
tusse!!! Great !!! ho!!!

Her subah aata hai aapki yaad lekar, her saam jata hai aapki yaad me hame rula kar.
Hame to intezar hai wo subah ki jo aayega aapko saath lekar aur wo saam ki
jo jayega aapko mere paas chhod kar.

Na guzarna Eid ko kisi Mazzid ke samne se, log chand samajhkar apna roza na tod de...
aur naraaz ho kar khuda tumse..kahi khubsurat log banana na chhod de...

Bin sawan barsat nahi hoti,
Suraj dube bina raat nahi hoti,
Kya kare ab kuch aisi halat hai ki,
Aapki yaad aaye bina din ki
shuruwaat nahin hoti.

dosti Zindgi jene ka paigam hoti hai, Dosti sab Risto se Mahan hoti hai.
Bina Dodti ke jina bahut Muskil ho jaata hai, Kyoki Ek Dost me Dusare dost ki Jaan hoti hai.

Barishon k mosam main, Tum ko yad karney ki adtein purani hain, Ab ki bar socha he,
Adtein badal dalein, Phir khayal aya k Adtein bdalny se barishen nahi rukti.

is pyar ka andaz kuch aisa he, kia batayen k ab hal kesa he,
koun kehta he tum chand jaise ho, sach to ye hai k chand "TUMHARE" jesa he.

MEINE APKE BHEJE KI PAVBHAJI BANA DI IS LIYE SORRY

Friday, July 6, 2007

Son's Greatness

After a few laughs and drinks, one of them had to go to the rest room. The ones who stayed behind began to talk about their kids and their successes.

The first guy says: I am very proud of my son, he is my pride and joy. He started working at a very successful company at the bottom of the barrel. He studied Economics and Business Administration soon he was promoted and began to climb the corporate ladder becoming the General Manager and now he is the president of the company. He became so rich that he gave his best friend a top of the line Mercedes Benz for his birthday.

The second guy says : Damn, My son is also my pride and joy, I am very proud of him. He started working at a traveling agency for a very big airline. He went to flight school to become a pilot and also managed to become a partner in the company where he now owns the majority of the assets. He became so rich that he gave his best friend a brand new jet for his birthday.

The third guy says: Well, well, well congratulations!! My son is also my pride and joy and he is also very rich. He studied in the best universities and became an Engineer. He started his own construction company and became very successful and a multimillionaire. He also gave away some thing very nice and expensive to his best friend for his birthday. He built a 30,000 sq ft mansion specially for his friend.The three friends congratulated each other mutually for the successes of theirs sons.

The forth friend who earlier had gone to restroom returned and asked: What’s going on, what are all the congratulations for? One of the three said: We were talking about the pride we feel for the successes of our sons. And then he asked, What about your son?The forth man replied: My son is Gay and he makes a living dancing as a stripper at a nightclub. The three friends said: What a shame that must be, that is horrible, what a disappointment you must feel.

The forth man replied: No, I am not ashamed. Not at all. He is my son and I love him just as well, he is my pride and joy. And he is very lucky too. Did you know that his birthday just passed and the other day he received a beautiful 30,000 sq ft mansion, a brand new jet and a top of the line Mercedes Benz from his three boyfriend

The IAS Interview

The IAS Interview
One young man went for an IAS Interview.

"When did India get independence?" He was asked.
"The efforts began a few years earlier and final result was in 1947" He replied.

"Who was responsible for our independence?"
"There were so many. Whom to mention? If I name one, it will be a injustice to another." He replied.

"Is corruption the number one enemy in our country?"
"Some research is going on the subject and I can answer with certainly only after seeing the report" He replied.

The interview board was very pleased with his original and thoughtful answers and asked him not to reveal the questions to others, since they were planning to ask the same questions. When he went out naturally others were curious to know what was asked. He politely declined, but one persistent Sardar would not leave him. "At least tell me the answers" he pleaded, and our friend obliged.

Then it was the turn of this Sardar. When he went inside, since his resume was slightly illegible, the board member asked him." By the way, what is your date of birth?"
He replied, "The effort began a few years earlier and final result was in 1947."

Somewhat puzzled, they asked another clarification. "What is your fathers name?"
He replied, "There were so many. Whom to mention". If I name one, it will be injustice to another".

The interviewer was incensed.
"Hey! Are you mad or what?"
He replied. "Some research is going on the subject. I can answer with certainty only after seeing the report."

Ik Zaara si Ranjish

Ik zara si ranjish se
Khawab toot jatay hain
bheer mein zamanay ki
haath choot jatay hain
dost daar lehjay mein
silwatein si parti hain
ik zara si ranjish se
shak ki zard tehni per
phool badgumani k is tarha se khiltay hain
zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain
ghair ban k miltay hain
umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta
khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai
aur sira nahi milta
maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti
lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti
phool rang waadon k, khawab toot jatay hain
manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai
be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se
faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai
khaak urnay lagti hai
khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se
umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain
ik zara si ranjish se
saath toot jatay hain .......

Yeh Zindagi.....

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Tuesday, July 3, 2007

Good Night My Love!




Good Night My Love!

As I am saying good night at the end of the day,
And you are not here, but many miles away,
My heart is so empty and so lonely inside,
As I wipe away a tear I am trying to hide.

I close my eyes and try to go to sleep,
But with the sadness inside I begin to weep.
Suddenly I remember what you once said to me,
Just meet me in the stars, waiting for you I will be.

When distance tends to keep us apart,
Remember I still hold you near in my heart.
When the night together, can't be ours,
Just close your eyes and meet me in the stars.

Remembering those words, I begin to smile,
And gently close my eyes, lessening the miles.
I can see the stars, oh how beautifully arranged,
But you are not there, no hug to exchange.

I sit alone waiting, with hope in my heart,
No longer wanting to be kept apart.
Suddenly in the distance, a shadow appears,
A tear rolls down my face and the image is clear.

Monday, July 2, 2007

Ghazals Sung by Pankaj Udhas

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Pankaj Udhas's Album!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Mehek!

Chupke chupke, sakhiyon se voh baatein karna bhool gayi
Mujhko dekha, panghat pe toe, paani bharna bhool gayi

Pehle shaayad usko mere chehre ka andaaz na tha
Mujhse aankhein takrayi toe, khud pei marna bhool gayi

Sach puccho toe meri vajah se usko aisa rogg laga
Kaajal mehndi kangan bindiya se sawarna bhool gayi

Kya jaane kabh ushse milne aa jaaoon ish khwaish mein
Chatt par beithi rehti hei voh chatt sei utarna bhool gayi

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Yun mere khat ka jawab aaya
Lifafei mein ek gulaab aaaya

Hawa mein bikhri hei uski khusboo
Zaroor uska adaab aayaa

Behek na jaaye yeh dil humaara
Ghazab ka ushpei sawaab aayaa

Hasin hei duniya mein kon sabse?
Toe naam uska janaab aaaya

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Saaya bankar saath chalenge ishke bharose matt rehna
Apne hamesha apne rahenge ishke bharose matt rehna

Saawan ka mahina aate hi baadal toe chaa jaayenge
Har haal mein lekin barsenge ishke bharose matt rehna

Suraj ki maalind safar pe roz nikalna padta hei
Beithe beithe din badlenge ishke bharose matt rehna

Behti nadi mein kacche ghade hei rishte naate husn vafa
Duur talak yeh behtei rahenge ishke bharose matt rehna

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Aashiqonei ek khawab dekha hoga
Tabh yeh tera sawaab bana hoga

Mehkason nei duwa ki hogi
Tabh yeh kamsin hijaab bana hoga

Aarzoo mausamO ki hogi
Tabh labbo ka gulaab khila hoga

Tunei angdaainya li hogi
Tabh nasha yeh behisaab bana hoga

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Qudrat kei uslulO mein badal kyon nahi hota
Joe aaj hua hei vahi kal kyon nahi hota

Har jheel mein paani hei har ek jheel mein lehren
Phir sabh kei mukaddar mein kamal kyon nahi hota

Jabh ushne hi duniya yeh diwaan likha hei
Har aadmi piyaari si ghazal kyon nahi hota

Har baar na milnei ki kasam khaake milei hum
Apnei hi iraadon kei amal kyon nahi hota

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Tu jaa raha hei toe tanhaiyaan bhi leta jaa
Yeh talukaat ki parchaiyaan bhi leta jaa

Nazar kei charchei gharo ki kahaniyaan bhi sameit
Gali mein gunjti rushwaiyaan bhi leta jaa

Gayi ruutOn ka har ek lamha mujhko lautta dei
Phir apni yaadon ki purvaiyaan bhi leta jaa

Kabhi joe tutt kei barsi thi meri baahon mein
Joe ho sake toe voh angdaiyaan bhi leta jaa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Chuun gayi jabh se tera aanchal hawa
Aur paagal ho gayi paagal hawa

Kiski zulfein chuum kar aayi hei yeh
KhusbuOn sei ho gayi jaltal hawa

Jish gali mein ishq bhatkaye phira
Phir kisi din ush taraf le chal hawa

Ghar kei baahar dusra mausam raha
Ghar kei andar phir vahi baadal hawa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Maikhane se sharaab se saaki se jaam se
Apni toe zindagi shuru hoti hei shaam se

Aa mera haath thaam bahot ho gaya nasha
Yaaron nei Mey pilaadi bahot tere naam se

Rakhtei hei paak dil ko niyat aur nigaah ko
Pitei hei hum sharaab bahot ehtraam se

Mehkas ki har khushi toe hoti hei sharaab se
Milti hei zindagi ushei har ek jaam se

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ghazals By Mirza Ghalib!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

AAh ko chaahiye ik umr asar hone tak

aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak

daam har mauj men hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
dekhen kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak

aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuuN Khuun-e-jigar hone tak

ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaayenge ham tum ko Khabar hone tak

partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
main bhii huuN ek inaayat kii nazar hone tak

yak_nazar besh nahiin fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang men jalatii hai sahar hone tak

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahiin rahaa

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahiin rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahiin rahaa

jaataa huuN daaG-e-hasarat-e-hastii liye hue
huuN shammaa-e-kushtaa daraKhur-e-mahafil nahiin rahaa

marane kii ai dil aur hii tadabiir kar ki main
shaayaan-e-dast-o-baazuu-e-qaatil nahiin rahaa

ba-ruu-e-shash jihat dar-e-aa_iinaabaaz hai
yaaN imtiaaz-e-naakis-o-qaamil nahiin rahaaa

vaa kar diye hain shauq ne band-e-naqaab-e-husn
Gair az nigaah ab ko_ii haa_il nahiin rahaa

go main rahaa rahiin-e-sitam haaye rozagaar
lekin tere Khayaal se Gaafil nahiin rahaa

dil se havaa-e-kisht-e-vafaa miT ke vaaN
haasil sivaaye hasrat-e-haasil nahiin rahaa

bedaad-e-ishq se nahiin Darata magar 'Asad'
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahiin rahaa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN honaaa

bas ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN honaaa
aadamii ko bhii mayassar nahiin insaaN honaa

giriyaa chaahe hai Kharaabii mere kaashaane kii
dar-o-diivaar se Tapake hai bayaabaaN honaa

waa-e-diiwaangii-e-shauq ke har dam mujh ko
aap jaanaa udhar aur aap hii hairaaN honaa

jalvaa az_bas ke taqaaza-e-nigah karataa hai
jauhar-e-aaiina bhii chaahe hai mizaGaaN honaa

ishrat-e-qatl_gah-e-ahal-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaaraa hai shamashiir kaa uriyaaN honaa

le gaye Khaak men ham daaG-e-tamannaa-e-nishaat
tuu ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaa N honaa

ishrat-e-paaraa-e-dil, zaKhm-e-tamannaa_Khaanaa
lazzat-e-riish-e-jigar Garq-e-namakdaaN honaa

kii mere qatl ke baad us ne jafaa se taubaa
haaye us zod_pashemaaN kaa pashemaaN honaa

haif us chaar girah kapaDe kii qismat 'Ghalib'
jis kii qismat men ho aashiq kaa garebaaN honaa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
dard minnat_kashe-davaa na huaa

dard minnat_kashe-davaa na huaa
main na achchaa huaa, buraa na huaa

jamaa karate ho kyon raqiibon ko
ik tamaashaa huaa gilaa na huaa

ham kahaaN qismat aazamaane jaayen
tuu hii jab Khanjar aazamaa na huaa

kitane shiiriin hain tere lab ke raqiib
gaaliyaaN khaake bemazaa na huaa

hai Khabar garm unake aane kii
aaj hii ghar men boriyaa na huaa

kyaa vo namaruud kii Khudaaii thii
bandagii men meraa bhalaa na huaa

jaan dii, dii huii usii kii thii
haq to yuuN hai ke haq adaa na huaa

zaKhm gar dab gayaa lahuu na thamaa
kaam gar ruk gaya ravaa na huaa

rahazanii hai ki dil_sitaanee hai
leke dil, dil_sitaaN ravaa na huaa

kuchch to paDhiye ki log kahate hain
aaj 'Ghalib' Gazal_saraa na huaa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
dard se mere hai tujhako beqaraarii haa_e haa_e

dard se mere hai tujhako beqaraarii haa_e haa_e
kyaa huaa zaalim terii Gafalatashi'aarii haa_e haa_e

tere dil men gar na thaa aashob-e-Gam kaa hausalaa
tuu ne phir kyuuN kii thii merii Gam-gusaarii haa_e haa_e

kyuuN merii Gam-Khvaaragii kaa thujhako aayaa thaa Khayaal
dushmanii apanii thii merii dostadaarii haa_e haa_e

umr bhar kaa tuune paimaan-e-vafaa baaNdhaa to kyaa
umr bhar ko bhii to nahiin hai paayadaarii haa_e haa_e

zahar lagatii hai mujhe aab-o-havaa-e-zindagii
yaanii tujhase thii ise naasaazagaarii haa_e haa_e

gulafishaani haa_e naaz-e-jalvaa ko kyaa ho gayaa
Khaak par hotii hai terii laalaakaarii haa_e haa_e

sharm-e-rusavaa_ii se jaa chhupanaa naqaab-e-Khaak men
Khatm hai ulfat kii tujh par pardaadaarii haa_e haa_e

Khaak men naamuus-e-paimaan-e-muhabbat mil ga_ii
uTh ga_ii duniyaa se raah-o-rasm-e-yaarii haa_e haa_e

haath hii teGaazamaa kaa kaam se jaataa rahaa
dil pe ik lagane naa paayaa zaKhmekaarii haa_e haa_e

kis tarah kaaTe ko_ii shab haa_e taar-e-barshigaal
hai nazar KhuuNkardaa-e-aKhtar_shumaarii haa_e haa_e

gosh mahajuur-e-payaam-o-chashm maharuum-e-jamaal
ek dil, tis par ye naa-ummiidavaarii haa_e haa_e

ishq ne pakaDaa na thaa "Ghalib" abhii vahashat kaa rang
rah gayaa thaa dil men jo kuchh zauq-e-Khvaarii haa_e haa_e

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye

diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye
huaa raqiib to ho, naamaabar hai, kyaa kahiye

ye zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qazaa se shikavaa hamen kis qadar hai, kyaa kahiye

rahe hai yuuN gah-o-begah ke kuu-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai, kyaa kahiye

zih-e-karishma ke yuuN de rakhaa hai hamako fareb
ki bin kahe hii unhen sab Khabar hai, kyaa kahiye

samajh ke karate hain baazaar men vo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kyaa kahiye

tumhen nahiin hai sar-e-rishtaa-e-vafaa kaa Khayaal
hamaare haath men kuchh hai, magar hai kyaa kahiye

unhen savaal pe za_om-e-junuuN hai, kyuuN laDiye
hamen javaab se qat_a-e-nazar hai, kyaa kahiye

hasad sazaa-e-kamaal-e-suKhan hai, kyaa kiije
sitam, bahaa-e-mata_a-e-hunar hai, kyaa kahiye

kahaa hai kisane ki "Ghalib" buraa nahiin lekin
sivaay isake ki aashuftaa_sar hai kyaa kahiye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
ek ek qatare kaa mujhe denaa paDaa hisaab

ek ek qatare kaa mujhe denaa paDaa hisaab
Khuun-e-jigar vadii_at-e-mishagaan-e-yaar thaa

ab main huuN aur maatam-e-yak shahar-e-aarazuu
toDaa jo tuu ne aa_iinaa timasaal daar thaa

galiyon men merii naash ko khenche phiro ki main
jaaN daad-e-havaa-e-sar-e-rahaguzaar thaa

mauj-e-saraab-e-dasht-e-vafaa kaa na puchh haal
har zarraa misl-e-jauhar-e-teG aabadaar thaa

kam jaanate the ham bhii Gam-e-ishq ko par ab
dekhaa to kam hue pa Gam-e-rozagaar thaa

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
hazaaron Khvaahishen aisii ki har Khvaaish pe dam nikale

hazaaron Khvaahishen aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
bahut nikale mere armaaN lekin phir bhii kam nikale

Dare kyuuN meraa qaatil kyaa rahegaa usakii gardan par
vo KhuuN jo chashm-e-tar se umr bhar yuuN dam-ba-dam nikale

nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hain lekin
bahut be-aabaruu hokar tere kuuche se ham nikale

bharam khul jaaye zaalim tere qaamat kii daraazii kaa
agar is turraa-e-purapech-o-Kham kaa pech-o-Kham nikale

magar likhavaaye koii usako Khat to hamase likhavaaye
huii subah aur ghar se kaan par rakkhar qalam nikale

huii is daur men mansuub mujhase baadaa-ashaamii
phir aayaa vo zamaanaa jo jahaaN se jaam-e-jam nikale

huii jinase tavaqqo Khastagii kii daad paane kii
vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teG-e-sitam nikale

muhabbat men nahiin hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hain jis kaafir pe dam nikale

zara kar jor siine par ki tiir-e-pursitam nikale
jo vo nikle to dil nikale jo dil nikale to dam nikale

Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim
Kahiin aisaa na ho yaaN bhii vahii kaafir sanam nikale

KahaaN maiKhaane ka daravaazaa 'Ghalib' aur kahaaN vaaiz
par itanaa jaanate hain kal vo jaataa thaa ke ham nikale

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
muddat huii hai yaar ko mahamaaN kiye hue

muddat huii hai yaar ko mahamaaN kiye hue
josh-e-qadah se bazm charaaGaaN kiye hue

karataa huuN jamaa phir jigar-e-laKht-laKht ko
arsaa huaa hai daavat-e-mizshgaaN kiye hue

phir vazaa-e-ehatiyaat se rukane lagaa hai dam
barason hue hain chaak girebaaN kiye hue

phir garm_naalaa haaye sharar_baar hai nafas
muddat huii hai sair-e-charaaGaaN kiye hue

phir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chalaa hai ishq
saamaaN-e-sad_hazaar namak_daaN kiye hue

phir bhar rahaa huuN Khaamaa-e-mizshgaaN baa_Khuun-e-dil
saaz-e-chaman_taraazii-e-daamaaN kiye hue

baa_ham_digar hue hain dil-o-diidaa phir raqiib
nazzaaraa-o-Khayaal kaa saamaaN kiye hue

dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaaye hai
pindaar kaa sanam_kadaa viiraaN kiye hue

phir shauq kar rahaa hai Khariidaar kii talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaaN kiye hue

dauDe hai phir har ek gul-o-laalaa par Khayaal
sad_gul_sitaaN nigaah kaa saamaaN kiye hue

phir chaahataa huuN naamaa-e-dil_daar kholanaa
jaaN nazar-e-dil_farebii-e-unvaaN kiye hue

maaNge hai phir kisii ko lab-e-baam par havas
zulf-e-siyaah ruKh pe pareshaaN kiye hue

chaahe phir kisii ko muqaabil men aarazuu
surme se tez dashnaa-e-mizshgaaN kiye hue

ik nau_bahaar-e-naaz ko taake hai phir nigaah
chehara furoG-e-mai se gulistaaN kiye hue

phir jii men hai ki dar pe kisii ke paDe rahen
sar zer baar-e-minnat-e-darbaaN kiye hue

jii DhuuNDhataa hai phir vahii fursat ke raat din
baiThe rahen tasavvur-e-jaanaaN kiye hue

'Ghalib' hamen na chheD ki phir josh-e-ashk se
baiThe hain ham tahayyaa-e-tuufaaN kiye hue

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
saadagii par us kii mar jaane kii hasarat dil men hai

saadagii par us kii mar jaane kii hasarat dil men hai
bas nahiin chalataa ki phir Khanjar kaf-e-qaatil men hai

dekhanaa taqariir kii lazzat ki jo usane kahaa
mainne yah jaanaa ki goyaa yah bhii mere dil men hai

garache hai kis kis buraa_ii se vale baa iin hamaa
zikr meraa mujh se behatar hai ki us mahafil men hai

bas hujuum-e-naa umiidii Khaak men mil jaayagii
yah jo ik lazzat hamaarii sa_i-e-behaasil men hai

ranj-e-rah kyon khenchiye vaamaandagii ko ishq hai
uTh nahiin sakataa hamaaraa jo qadam manzil men hai

jalvaa zaar-e-aatash-e-dozaKh hamaaraa dil sahii
fitanaa-e-shor-e-qayaamat kis kii aab-o-gil men hai

hai dil-e-shoriidaa-e-Gaalib tilism-e-pech-o-taab
raham kar apanii tamannaa par ki kis mushkil men hai

Don't Say Goodbye to loved ones


dard jitna saha jaye utna hi sehna
kisike dil ko lag jaye woh baat na kehna
milte hain hamare jaise log bahut kam
isliye hamse kabhi alvida (Goodbye) naa kehna

na chaho kisiko itna ki
chahat aapki majburi ban jaye
chaho kisiko itna ki
aapka pyaar uske liye majburi ban jaye

vishwas banke log zindagi main aatey hai
khwab banke aankhon main samaa jaatey hai
pehle yakeen dilate hai ki woh hamare hai
phir na jaane kyu badal jaatey hai

Love!

meri har sanas leti hain naam tumhara,
meri har dharkhan se poochu,
kiya hai paata tumhara,
aankhon ke rashte dil main rahte ho tum,
tumhare sivay na koi hamara,
chahatein hain, har pal ka sath ho humara,
jeevan ke antim path tak
na chute ye sath hamara.


Ghazals By Gulzar!


1. aaNkhon men jal rahaa hai kyuuN bujhataa nahiin dhuuaN

aaNkhon men jal rahaa hai kyuuN bujhataa nahiin dhuuaN
uThataa to hai ghaTaa saa barasataa nahiin dhuaaN

chuulhaa nahiin jalaaye yaa bastii hii jal ga_ii
kuchh roz ho gaye hain ab uThataa nahiin dhuaaN

aaNkhon se ponchane se lagaa aaNch kaa pataa
yuuN cheharaa pher lene se chhupata nahiin dhuaaN

aaNkhon se aaNsuon ke maraasim puraane hain
mehamaan ye ghar men aayen to chubhataa nahiin dhuaaN


2. main apane ghar men hii ajanabii ho gayaa huuN aa kar

main apane ghar men hii ajanabii ho gayaa huuN aa kar
mujhe yahaaN dekhakar merii ruuh Dar gaii hai

saham ke sab aarazuueN konon men jaa chhupii hain
laven bujhaa dii hainapane cheharon kii, hasaraton ne

ki shauq pahachanataa hii nahiin
muraaden dahaliiz hii pe sar rakh ke mar gaii hain

main kis vatan kii talaash men yuuN chalaa thaa ghar se
ki apane ghar men bhii ajanabii ho gayaa huuN aa kar

Mere dil ki kitab ko padhna kabhi

Mere dil ki kitab ko padhna kabhi,
Sapno me aake mujh se milna kabhi
Maine duniya sazai hai tere liye,
Meri nazro ki ummed ban’na kabhi
Bahut dur hai sitaro se roshan jahan,
Jra humkadam banke mere sath chalna kabhi
Bahut najuk seene mai DIL hai mera,
Tum andaj mohabbat banke dha’rkna kabhi

Friday, June 29, 2007

Shayari and Fun: Mohabbat Adhori Si Reh Gayi Hai..

Shayari and Fun: Mohabbat Adhori Si Reh Gayi Hai..

Mohabbat Adhori Si Reh Gayi Hai..

Iibadat main koi kami si reh gayi hai
Muhabbat adhori si reh gayi hai
Palk bheegi si reh gayi hai
Ibadat main koi kami reh gayi hai
Tishnigi_lab mitney sey reh gayi hai
Muhabbat iqrar_lub sey reh gayi hai
Ibadat-e-ishq tujh tak punchney sey reh gayi hai
Muhabbat adhori si reh gayi hai
Deed milney sey reh gayi hai
Woh lub siyee sey reh gayi hai...!

Waah re khudaa terii khudaaii

Waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa dooniya banaai
do pal milan sadiiyo.n judaai
waah re khudaa terii khudaaii

kya niraale dastur banaye hai.n
gamo.n ke pahre ghar humaare
khushii apne dar sajaaye hai.n
waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa duniya banaai

zindagi me.n rusvaa naam tera
nahi yakiin tera, ho mumkin to
likh kar du.n ye paigaam mera
waah re khudaa terii khudaaii
tune bhii kyaa dooniya banaai

tere zuulmo.n ko sahake chup
gariib raaho.n me rahake chup
bhukhe guzar gayaa ek aur din
roti panaaho.n me bahake chup
tuu utar zaraa zamii.n pe merii
insaa.n ki ankhe.n yu.n bharaai
naa hogi saagar ki jitni gehraai

tujhse gilaa karke kya haansil
kahaa thha mujhse bhi kisine
taqdir teri jo tune zindagi paai
rahmat khuda ki bitaa hans ke
par hansi to lab pe aati hi nahi
gum ki raat kabhi jaati hi nahi
zindagi meri muskurati hi nahi
ibaadat bhi ki barso.n khuda ki
khudaai inaayat barsaati hi nahi
nahi barsaati ye khudaai inaayat

Waah re khudaa terii khudaaii
kya muqammal zindagi paai……

KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAN NAHIN MILTA ...

KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAN NAHIN MILTA ...
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta
jisay bhi dekhiyay woh apnay aap mein goum hai
zuban mili hai magar hum zuban nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta....
bujha saka hai bhala kaun waqt kay shoulay
yeh aisi aag hai jis mein dhuaan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta....
teray jahan mein aisa nahin kay pyar na ho
jahan umeed ho iski wahan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta...