Thursday, November 12, 2009

"Don't copy if you can't paste"...


A popular motivational speaker was entertaining his audience. He Said : "The best years of my life were spent in the arms of a woman who wasn't my wife!" The audience was in silence and shock. The speaker added: "And that woman was my mother!"

Laughter and applause.
A week later, a top manager trained by the motivational speaker tried to crack this very effective joke at home. He was a bit foggy after a drink. He said loudly to his wife who was preparing dinner, "The greatest years of my life were spent in the arms of a woman who was not my wife!"

The wife went; "ah!" with shock and rage. Standing there for 20 seconds trying to recall the second half of the joke, the manager finally blurted out "....and I can't remember who she was!"

By the time the manager regained his consciousness, he was on a hospital bed nursing burns from boiling water

Moral of the story: Don't copy if you can't paste!

Wednesday, November 11, 2009

Sunday, October 25, 2009

Why Women Cry Nice Story

Why Women Cry





A little boy asked his mother, "Why are you crying?" "Because I'm a woman," she told him.

"I don't understand," he said. His Mom just hugged him and said, "And you never will."


Later the little boy asked his father, "Why does mother seem to cry for no reason?"


"All women cry for no reason," was all his dad could say.


The little boy grew up and became a man, still wondering why women cry.


Finally he put in a call to God. When God got on the phone, he asked, "God, why do women cry so easily?"


God said:


"When I made the woman she had to be special.


I made her shoulders strong enough to carry the weight of the world,


yet gentle enough to give comfort.


I gave her an inner strength to endure childbirth and the rejection that many times comes from her children.


I gave her a hardness that allows her to keep going when everyone else gives up, and take care of her family through sickness and fatigue without complaining.


I gave her the sensitivity to love her children under any and all circumstances, even when her child has hurt her very badly.


I gave her strength to carry her husband through his faults and fashioned her from his rib to protect his heart.


I gave her wisdom to know that a good husband never hurts his wife, but sometimes tests her strengths and her resolve to stand beside him unfalteringly.


And finally, I gave her a tear to shed. This is hers exclusively to use whenever it is needed."


"You see my son," said God, "the beauty of a woman is not in the clothes she wears, the figure that she carries, or the way she combs her hair.


The beauty of a woman must be seen in her eyes, because that is the doorway to her heart - the place where love resides."


Please send this to your friends

Friday, October 23, 2009

About friends... perfect

Ek dum Mast!!!!


Friendship is not about “I m sorry “ its about “abbe teri galti hai “

Friendship is not about “I m there for u” or “I missed u “ it’s about “kahan marr gaya saale “

Friendship is not about “I understand “ its about “sab teri wajah se hua manhus“

Friendship is not about “I care for u “ its about “kamino tumhe chhod ke kahan jaunga “

Friendship is not about “I m happy for ur success “its about “chal party de saale“

Friendship is not about “I love that girl“ its about “saalo izzat se dekho tumhari bhabhi hain “

Friendship is not about “R u coming for outing tomorrow “ its about “ nautanki nahi, hum kal bahar ja rahe hai “

Friendship is not about “Get well soon “ its about “ Itna piyega toh yehi hoga“

Friendship is not about “All the best for ur career“ its about “ bahut hua, abhi toh switch mar saale“

Wednesday, February 11, 2009

Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se

Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se
Jazbaton Ki Koi Numayish Nahin Ki

Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai
Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki

Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se
Sada Yaad Rakhney Ki Sifarish Nahin Ki

Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo
Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki

Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna
Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki….

E-Kash Agar Aisa Ho Jaye

E-Kash Agar Aisa Ho Jaye
Unke Sabhi Gum Hamare Ho Jaye
Hum Jagey Jab Bhi Yaad Mein Unki
E-Kash Unhe Khabar Ho Jaye

Hum Jagein Unki Yaad Mein Jab Bhi
Wo Neend K Alaam Mein Kho Jayein

Hum Sahein Unke Gum Bhi Haskar
Gar Meri Khushiya Unhe Mil Jaye

Hum Jee Lenge Kaanton Mein Beshak
E-Kash Unhe Sab Phool Mil Jayein

Bhut Sataya Iss Duniya Ne Humko
Per Ab Ye Duniya Usey Na Sataye

Hum Jayein Jab Bhi Dua Mangney
Labo Pe Unka Hee Naam Aaye

Kash Hamari Duaon Mein Itna Asar Ho Jaye
Unke Sabhi Gumm Hume Mil Jayein
Unke Sabhi Gumm Hume Mil Jayein…

Oh Hote Nahi'

Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai
Ye Dile Nadan Yah Kya Karam Hota Hai

Gar Mile Oh Ghari Bhar Ke Liye Humse
To Yeh Unka Hum Pe Raham Hota Hai

Unke Milne Ki Khushi To Hoti Hai
Par Mil Ke Bichhar Jane Ka Gaam Hota Hai

Oh Hote Nahi Phir Bhi Unke Hone Ka Bharam Hota Hai
Ye Dile Nadan Yeh Kya Karam Hota Hai

Tuesday, February 10, 2009

jaa rahe the.

insano ke kandho par insaan ja rahe the,
kafano mein lipte kuch armaan ja rahe the..........

jinhe mili thi bewafai mohabbat mein ,
wo wafa ki talaash mein shamshaan ja rahe the..............

gum na kar

Wo nahi mila to malaal kya ,
jo gujjar gaya so gujjar gaya,

na gila kiya na khafa hue ,
yuhi raste main juda hue,

usse yaad karke na dil apana dukha,
wo waffaien thi ke jaffaien thi,

yeh na soch kis ki khattaien thi,
Wo nahi mila to malaal kya ,
jo gujjar gaya so gujjar gaya..........

dil ko samjhawu kaise

mai apne dil ko samjhawu kaise
tujhe sanam mai bhulawu kaise
mujhe to teri lat ho chuki hai
mai tum bin jeewan bitawu kaise

ye duriya jo badh rahi hai
unhe mai yaarab mitawu kaise
ye aansu jo beh rahe hai
inhe mai pi kar nibhawu kaise

ye dil mai kaisi jang chidi hai
ye kaisi mushkil ki ghadi hai
mai apne dil ko samjhawu kaise
is badhti duri ko mitawu kaise

mujhe tu yaarab sabar ataa kar
ghadi do ghadi unki khabar ata kar

Saturday, January 31, 2009

Chaand Bhi Chhatt Pe Rota Hai

Ek Hi Manzar Yeh Har Raat Ka Hota Hai
Chaand Bhi Aakar Meri Chhatt Pe Rota Hai

Palkon Main Nami Hoti Hai Bikhri Bikhri
Dil Phir Bhi Nayi Umeed Koi Pirota Hai

Woh To Takkiye Ko Aangosh Main Le Laita Hai
Jaane Kaise Woh Chain Ki Neend So Laita Hai

Raat Ki Raani Ko Kabhi Khirrki Pe Mehekta Dekha
Humne Raaton Ko Aankhon Main Guzarte Dekhaa Hai

Os Ke Bina Chup Chap Rehna

Os Ke Bina Ab Chup Chap Rehna Acha Lagta Hai
Khamoshi Sey Dard Ko Sehna Acha Lagta Hai

Jis Hasti Ki Yaad Mein Aanso Barstey Hain
Samne Os Ke Kuch Naa Kehna Acha Lagta Hai

Mil Kar Os Se Bichar Naa Jaaon Darta Rehta Hon
Is Liye Bas Door Hi Rehna Acha Lagta Hai

Janta Hon Keh Chahat Mein Bas Aanso Milte Hain
Kuch Bhi Ho Ab Is Zehar Ko Peena Acha Lagta Hai

Je Chahey Sab Khushiyan Laa Kar Os Ko De Doon
Os Ke Pyaar Mein Sab Kuch Khona Acha Lagta Hai

Os Ka Milna Naa Milna Qismat Ki Baat Hai
Pal Pal Os Ki Yaad Mein Roona Acha Lagta Hai

Os Ke Bina Sab Khushiyan Wasee Ajab Si Lagti Hain
Roo Roo Kar Os Ki Yaad Mein Sona Acha Lagta Hai

Mehfil Ko Suna Deti Hain

Main Kahoon Na Kahon Ye Aakhian Bata Deti Hain
Gham-E-Dil Ye Tammam Mehfil Ko Suna Deti Hain

Ho Jati Hian, Teri Yad Main Hum, Youn Aksar
Sookhay Hoye Takya Ko Bhi Bhiga Deti Hain

Jiss Nay Bhi Yahan Isiq Kiya Uss Nay Jana
Boolti Khamooshiyan Ye Apnay Main Sama Layti Hain

Youn Tou Nam Leva Isiq Kay Hian Yahan Per Be-Had
Nibhaya Isay, Woh Hi Janay, Ye Kitna Maza Deti Hain

Ye Imtehan Deti Hian Rat-E-Hijr Main Muhabbt Ka
Sooch Hi Sooch Main Ek Darya Baha Deti Hain

Lakh Chaho Gar Tum Chupana Dunya Say, Lali Inn Ki
Daga Baz Hain Ye, Fasana-E-Dard Poray Aalm Ko Bata Deti Hain

Log Use Aank Bhar Ke Dakte Hein

Suna Hai Log Use Aank Bhar Ke Dakte Hein
So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Tehar Ke Dakte Hein

Suna Hai Dard Ki Gahak Hai Chashme Naaz Uski
So Hum B Us Ki Gali Se Guzar Ke Dakte Hein

Suna Hai Usko B Hai Sher-O-Shayari Se Sharaf
So Hum Mojzay Apne Hunar Ke Dakte Hein

Suna Hai Bolay To Baaton Se Phol Jarte Hein
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dakte Hein

Suna Raat Ko Use Chand Takta Rehta Hai
Sitare Baam-E-Falak Se Utar Ke Dakte Hein

Suna Hai Din Ko Use Titliyan Satati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugno Tehar Ke Dakte Hein

Suna Hai Uski Siah Chashmagi Qayamat Hai
So Usko Sorma Farosh Aah Bhar Ke Dakte Hein

Suna Hai Ayena Thamsal Hai Jabin Uski
Jo Saada Dil Hein Use Bansawar Ke Dakte Hein

Suna Hai Uski Badan Ki Tarash A C Hai
Ke Phool Apne Qabahe Qatar Ke Dakte Hein

Ruke To Gardeshe Uska Tawaf Karti Hain
Chale To Ose Zamane Tehar Ke Dakte Hein

Kise Naseeb Ke Bepairahan Ose Dakhe
Kabhi Kabhie Daro Deewar Ghar Ke Dakte Hein

Kahaniyan He Sahi Sub Mubaalge He Sahi
Agar Wo Khuwaab Hai To Tabeer Kar Ke Dakte Hein

Ab Us Ke Shehar Mein Tehre Ke Khooj Kar Jae
FARAZ Aao Sitaare Safar Ke Dakte Hein

Faqat ek baat kehna chahta hun

Faqat ek baat kehna chahta hun
Teri ankhon main rehna chahta hun

Bohat jaag chuka hun tere hijr main
Tere anchal main sona chahta hun

Zamane bhar ki khushian aur ter gham
Ye gham kuch aur sehna chahta hun

Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete

Kaha koi aisa mila jispe dil luta dete,
har ek ne dhoka diya kis-kisko bhula dete,

apne dil ka dard dil hi mein dabaye rakhe hain,
karte bayan to mehfil ko rula dete.

Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye

Sehme Labo Pe Koi Masoom Faryad Ajaye
Koi Khushi Ab In Ghamon Ke Bad Ajaye

Pal Pal Mehsoos Hoti Hai Teri Mojodgi
Kisi Lamhe Tujhe Bhi Humari Yaad Ajaye,

Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai.

Ae dost teri yaad bahaut aati hai

Tanhai mein mujhe bahaut sataati hai.

Kis se kahoon apne dil ki baat main

Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai.

Ye baarish ki boondein,ye matti ki khushbu

Mujhe tanha dekh kar mera mazaak uraati hein.

Mujhe tum se hai mohabbat itni

Tanhai mein tumhari awaaz aati hai.

Deta hai sadaa koi mujhe door se

Lagta hai mujhe meri dost bulati hai.

Ae dost teri yaad bahaut aati hai

Ae dost teri yaad bahaut aati hai

Tanhai mein mujhe bahaut sataati hai.

Kis se kahoon apne dil ki baat main

Ye hawa bhi kab tak saath nibhati hai.

Ye baarish ki boondein,ye matti ki khushbu

Mujhe tanha dekh kar mera mazaak uraati hein.

Mujhe tum se hai mohabbat itni

Tanhai mein tumhari awaaz aati hai.

Tanha ho to kabhi mujhe dhund lena,

Tanha ho to kabhi mujhe dhund lena,

Is dunia se nahi apne dil se puch lena,

Apke aaspas hi rahe hai hm sada...

yadon se nahi to sath gujre lamho se puch lena

Ek Tamanna Us Per Marne Ki

Ek Tamanna Us Per Marne Ki
Ek Chahat Usko Pyaar Karne Ki,

Ek Aahat Khwab Tootne Ki,
Aur Ek Dua Uske Bina Marne Ki.

Friday, January 30, 2009

Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain

Maut Ki Dua

Yun Dil Se Dil Ko Juda Na Kijiyega
Zara Soch Samaj Kar Faisla Kijiyega
Agar Jee Sakte Hai Aap Mere Bina
To Beshak Meri Maut Ki Dua Kijiyega

Saal Girah Ka Shor Hai

Yeh Jeewan Dore Hai
Ghar Mein Saal Girah Ka Shor Hai
Kahi Salown Se Ata Hai…
Shadi Ki Yeh Girah
Dori Baar Math Aa Tanha…
Aaj Wapas Layein Purani Yadein
Dil Mein Kushiyaan Paida Kare…
Tum Paas Hain To Nahi
Per Door Se Sahi.

Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay

Gir Jaye Jo Dewar Tu Matam Nahi Kertay
Kartay Hain Boht Log Magar Hum Nahi Kertay

Hai Apni Tabiat Main Jo Khami Tu Yehi Hai
Hum Ishq Tu Kertay Hain Magar Kam Nahi Kertay

Nafrat Se Tu Behter Hai Ke Rastay Hi Juda Hoon
Bekar Guzar Gahon Ko Baham Nahi Kertay

Her Sans Mein Dozakh Ki Tapish See Hai Magar Hum
Soraj Ki Terhan Aag Ko Madham Nahi Kertay

Kia Ilm Ke Roatay Hon Tu Mar Jatay Hoon Ali
Wo Log Jo Kabhi Ankhon Ko Naam Nahi Kertay

Thak Gya Use Dhondte Hoy

Kuch Main B Thak Gya Use Dhondte Hoye
Kuch Zindgi K Pas B Muhlat Nahi Rahi
Us Ki Her Ik Ada Se Jahlakne Laga Khloos
Jab Muj Ko Aitbaar Ki Aadat Nahi Rahi

Dil Karta Hai K Pyaar Karoon

Dil Karta Hai K Pyaar Karoon
Dil Karta Hai K Shararat Karoon

Dil Karta Hai K Baitha Rahoon
Dil Karta Hai K Dekhta Rahoon

Dil Karta Hai K Khamosh Rahoon
Dil Karta Hai K Kuch Kahoon

Dil Karta Hai K Baat Karoon
Dil Karta Hai K Tareef Karoon

Dil Karta Hai K Iqraar Karoon
Dil Karta Hai K Naraz Karoon

Dil Karta Hai K Razi Karoon
Dil Karta Hai K Chupa Rahoon

Dil Karta Hai K Intizar Karoon
Dil Karta Hai K Phir Yaad Karoon

Dil Karta Hai K Khayal Karoon
Dil Karta Hai K Khooya Rahoon

Aur Kabhi

Dil Darta Hai K Toba Karoon

Sanam Ne Diya Zeher

Sanam Ne Diya Zeher Toh Hum Has Ke Nigal Gaye
Jab Hum Na Mare, To Humko Hi Humara Humshakal Keh Gaye!!!!!

Khushii Achchii Nahii Lagtii

Bichar Kar Aap Se Humko,Khushii Achchii Nahii Lagtii
Labon Par Yeh Banaawat Kii Hansii Achchii Nahii Lagtii

Kabhii To Khoob Lagtii Thii Magar Ye Sochtii Hoon Ab
Ke Mujhko Kyon Merii Ye Zindagii Achchii Nahii Lagtii?

Tirii Maujoodagii Mein To Mujhe Har Baat Bhaati Thi
‘Terii Furqat Mein Koii Baat Bhii Achchii Nahii Lagtii

Ko’ii To Saaz Chhere, Ko’ii To Naghma Idhar Goonje!
Bharii Mehfil Mein Itnii Khaam’shii Achchii Nahii Lagtii

Kabhii Hum Bhii Huaa Karte The Baadaakash Magar Jab Se
Tujhe Dekha Hai Tab Se Maikashii Achchii Nahii Lagtii

Zara Tuu Paas Aa,Main Ponchh Doon Ashkon Ko Pallu Se
Tirii Maasoom Aankhon Mein Namii Achchii Nahii Lagtii

Miree Aankhon Ne Jab Se Jeena Seekhaa Hai Andheron Mein
Kisii Bhii Qism Kii Ho Raushnii,Achchii Nahii Lagtii

Mujhe Har Gaam Pe Dukh,Dard,Ranj-O-Gham Mile Lekin
Khudaaya Aur Ab Uftaadgii Achchii Nahii Lagtii!

Na De Har Vaqt Tuu Dastak Mire Darvaaza-E-Dil Par!
K Ab Mujh Ko Yeh “Tarz-E-Dil-Lagii” Achchhi Naheen Lagtii

Agar Tum Chaah Sakte Ho,To Dil Se Chaaho Mujhko Tum
Mohabbat Mein Merii Jaan Bedilii Achchii Nahii Lagtii

Jhijhakte Kyon Ho Kehne Se?Humein Maaloom Hai Sab Kuch!
K Tum Ko Ab HAMAARI Dostii Achchhi Naheen Lagtii!

Pyar Jeena Sikha Deta hai

Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai
Wafa Ke Naam Pe Marna Sikha Deta Hai
Pyar Nahi Kiya To Karke Dekho
Zalim Har Dard Sahena Sikha Deta Hai

Yeh Dil Chatha Hai

Aaj Hamey Kohi Khata Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Bahri Mehfil Mey Badnaam Hone Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Fizaon Seh Guftagooh Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Baharoon Ser Dil Lagane Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Kekhashoon Koh Chune Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Chand Seh Nazar Na Hatane Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Duniya Koh Barbaat Hamari Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Aaj Tumseh Mohabbat Ka Iqkaar Karne Koh
Yeh Dil Chatha Hai…

Thursday, January 29, 2009

Sirf Meri Tanhai Hai

Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai

Pehle Saaya Toh Tha Mere Saath
Aaj Kal Woh Bhi Harjaai Hai

Aaj Phir Aansuon Ki Baarish Hai
Aaj Phir Yaad Unki Aayi Hai

Jaanta Hun Kahin Nahi Hai Woh
Dil Ko Shak Hai Yaheen Kahin Hai Woh

Kaash Yeh Mera Dil Sanbhal Jaaye
Yeh Haseen Wahem Bhi Nikal Jaaye

Ek Dilkash Haseen Chehra Tha
Aks Aankhon Me Uska Gehra Tha

Roz Milte The Baat Hoti Thi
Har Jageh Mere Saath Hoti Thi

Haath Me Haath Apne Hote The
Chaand Taare Bhi Saath Hote The

Kya Samaan Khoob Woh Bhi Hota Tha
Dil Hamara Kahin Jo Khota Tha

Apni Duniya Ajeeb Hoti Thi
Maano Jannat Kareeb Hoti Thi

Ek Dooje Ki Aankhon Me Aankhen
Aankhon Aankhon Mein Pyar Ki Baaten

Zulf Se Khelti Machalti Woh
Bahke Andaaz Se Sanbhalti Woh

Aaj Har Oos Haseen Lamhe Ki
Har Kali Phir Se Muskurai Hai

Main Hoon Aur Mere Saath
Sirf Meri Tanhai Hai…
Sirf Meri Tanhai Hai…

Ek Dil Mere Dil Ko Zakham De Gaya

Ek Dil Mere Dil Ko Zakham De Gaya
Zindagi Bhar Jeenay Ki Kasam De Gaya
Lakhon Mein Se Ek Phool Chuna Hamne
Jo Kaanton Se Bhi Gehri Chubhan De Gaya

Bewafaa Voh Nahi Hum Hi Kharab The

Bewafaa Voh Nahi Hum Hi Kharab The
Zeher Ki Zarurat Nahi Mar Jayenge Shrab Se
Kaante Mehsus Hi Nahi Hue Kyonki
Pyar Hi Itna Tha Uss Gulab Se

Zindagi Ko Aazma Kar Dekh Lia

Hum Ne To Raaz-E-Ulfat Bhi Chupa Kar Dekh Lia
Khud Ko Tum Se Juda Kar Ke Bhi Dekh Lia
Tum To Mere Ho Kar Bhi Mere Na Ho Sake
Tum Ko Kya, Zindagi Ko Bhi Aazma Kar Dekh Lia

Har Pal Zindagi Ban Jaye

Khushiya Itni Ho K Aankhon Me Ansu Jam Jaye
Lamhe Ho Itne Hasi K Waqt B Tham Jaye
Dosti Nibhayenge Hum Apse Is Tarha
K Saath Guzra Har Pal Zindagi Ban Jaye

Yeh Aankhein Bata Deti Hain

Mai Kahu Na Kahu Yeh Aankhein Bata Deti Hain
Mere Dil Ka Dard Yeh Sab Ko Suna Deti Hain
Jis Ne Bhi Yahan Pyaar Kiya, Ussi Ne Yeh Jaana Hai
Mohabbatein Aur Wafa’en Kya Sila Deti Hain!

Mere Paas Laut Aana

Jab Yaad Meri Aye To Rukna Mat
Mere Paas Laut Aana

Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazer Na Aye
To Derna Mat Mere Paas Laut Aana

Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paye
To Udaas Mat Hona Mere Paas Laut Aana

Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chote
To Aanso Mat Bahana
Mere Paas Laut Aana

Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Sherminda Mat Hona
Mere Paas Laut Aana

Bas Itna Kehna Chahta Hon
Ke Hamesha Intizar Keronga
Is Zindgi Se Zyada Pyar Keronga
Magar Jab Tumhen Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
Mere Paas Laut Aana

Musaafir To Gaya

Ho Na Duniya Main Koi Hum Sa Bhi Piyaasa Logo
G Main Aati Hay K P Jaayn Ye Darya Logo

Kitni Is Sheher K Sakhiyon Ki Suni Thin Baaten
Hum Jo Aaye To Kisi Ne Bhi Na Poocha Logo

Ab Koi Aaye To Kehna K “Musaafir To Gaya”
Ye Bhi Kehna K,Bhala Ab Bhi Na Jaata Logo

Khubsoorat Hain Woh Lub

Khubsoorat Hain Woh Lub
Jo Pyari Batein Kartey Hain

Khubsoorat Hai Woh Muskurahat
Jo Doosron Ke Chehron Per Bhi Muskan Saja De
Khubsoorat Hai Woh Dil
Jo Kisi Ke Dard Ko Samjhey
Jo Kisi Ke Dard Mein Tadpey

Khubsoorat Hain Woh Jazbat
Jo Kisi Ka Ehsaas Karein

Khubsoorat Hai Woh Ehsaas
Jo Kisi Ke Dard Ke Me Dawa Baney


Khubsoorat Hain Woh Batein
Jo Kisi Ka Dil Na Dukhaein

Khubsoorat Hain Woh Ankhein
Jin Mein Pakezgi Ho
Sharm O Haya Ho

Wednesday, January 28, 2009

Aitbaar Karo

Meri Ankhoon Mein Basay Ho Tum
Ek Dua Ban Kar

Tumhein Zindagi Bhar Yunhi Chahoongi
Aitbaar Karo

Mere Hathoon Par Likha Hai Tumhara Naam
Chahat Kai Rangoon Nai

Isai Dharkan Mein Basaoongi
Aitbaar Karo

Meri Har Soch Mein Shamil Hai Khayal Tumhara
Isai Sansoon Mein Rachaongi
Aitbaar Karo

Yun To Har Pal Tum Rehtay Ho Mere Hi Sath Humdum
Tumhein Saibaaan Mein Banaoongi
Aitbaar Karo

Hai Laboon Par Mere Jo Naam Tumhara Hai
Tumhein Apna Mein Banaoongi
Aitbaar Karo

Hain Kathin Rah-E-Wafa Janaa To Kya Hota Hai
Dil Jala Kar Mein Nibhaoongi
Aitbaar Karo

Mujhe Tumse Hai Mohabbat Tumhein Khabar Hai Yeh
Mein Isai Zindagi Mein Laoongi
Aitbaar Karo

Tumhara Hi Chehra Basa Hai Meri In Ankhoon Mein
Tumhein Tabeer Banaoongi
Aitbaar Karo

Tumhein Pakar Ho Jai Gi Sehal Zindagi Meri
Yehi Dua Bus Mangoongi
Aitbaar Karo

Kabhi Khawaboon Mein Kabhi Khayaloon Mein
Kehti Hoon Tumse Yehi
Mein Zindagi Tum Sang Sajaoongi
Aitbaar Karo

Urdu Ghazal - Urdu Shayari - Urdu Sher

Na who farishta ho na farishtey jaisa ho
Mujhey talash hai uski jo merey jaisa ho
Merey khulus ko pehchanta ho
bus kafi hai Who koi bhi ho, kahin bhi ho, kesa bhi ho
Meri khatir marney ka hosla bhi rkhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us sey to
Muskra key manayee, woh aisa ho
Jo baat karey to woh nibha bhi sakey
Iradon mein woh apney chatanon jaisa ho Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho Us key pyaar ki thandak ho merey liye aisiKey woh to bilkul aasman key chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho Umar bhar saath chalney ka azam-e-wafa rakhta ho
Jo khwab deney ko qadir ho meri aankhon ko Meri mohabbat ko pehchan sakay woh aisa ho