Friday, June 29, 2007

KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAN NAHIN MILTA ...

KABHI KISI KO MUKAMMAL JAHAN NAHIN MILTA ...
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta
jisay bhi dekhiyay woh apnay aap mein goum hai
zuban mili hai magar hum zuban nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta....
bujha saka hai bhala kaun waqt kay shoulay
yeh aisi aag hai jis mein dhuaan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta....
teray jahan mein aisa nahin kay pyar na ho
jahan umeed ho iski wahan nahin milta
kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
kahin zameen to kahin aasman nahin milta...

1 comment:

Anonymous said...

well said buddy......

keep on posting such a nice shayaris....